ye umr guzri hai itne sitam uThane mein
ki KHauf aata hai agla qadam uThane mein
zamin ka mujh se hawala bhi TuT paya nahin
main sarfaraaz raha tera gham uThane mein
har ek shai pe hai yaksaniyat ka ghalba kyun
ye imtiyaz-e-wajud-o-adam uThane mein
chamak ke kucha-e-qatil mein neze kya karte
ki josh-e-KHun tha hamare qalam uThane mein
tumhaari yaad bhi aai to kis tarah aai
hayat ruk si gai chashm-e-nam uThane mein
shikast kha na saka mera lafz-e-haq 'rashid'
main be-KHatar raha us ka alam uThane mein
Ghazal
Ye umr guzri hai itne sitam uThane mein
Rashid Taraz