ye umr-e-sad-bala jo apne hi sar gai hai
thoDi guzar lenge thoDa guzar gai hai
ya mund lin hain aankhen ya mund gain hain aankhen
tujh par pas-e-tamasha kya kya guzar gai hai
mumkin nahin hai shayad donon ka sath rahna
teri KHabar jab aai apni KHabar gai hai
shor-e-KHizan hai ghar mein diwar-o-baam-o-dar mein
dar par sawari kal aa kar Thahar gai hai
malum hi nahin hai kuchh farq hi nahin hai
ye din guzar gaya hai ya shab guzar gai hai
har gul-badan ko takna aankhon se chum rakhna
diwangi hamari had se guzar gai hai
Ghazal
Ye umr-e-sad-bala jo apne hi sar gai hai
Meer Ahmad Naved