ye umr bhar ka safar hai isi sahaare par
ki wo khaDa hai abhi dusre kinare par
andhera hijr ki wahshat ka raqs karta hai
tamam raat meri aankh ke sitare par
hawa-e-sham tere sath hum bhi jhumte hain
kisi KHayal kisi rang ke ishaare par
kisi ki yaad satae to ja ke rakh aana
mahakte phul kisi aabju ke dhaare par
ufuq ke par azal se ek aag raushan hai
ye sara khel hai us aag ke sharare par
Ghazal
Ye umr bhar ka safar hai isi sahaare par
Sabir Waseem