ye tujh se aashna duniya se begane kahan jate
tere kuche se uThte bhi to diwane kahan jate
qafas mein bhi mujhe sayyaad ke hathon se milte hain
meri taqdir ke likkhe hue dane kahan jate
na chhoDa zabt ne daman nahin to tere saudai
hujum-e-gham se ghabra kar KHuda jaane kahan jate
main apne aansuon ko kaise daman mein chhupa leta
jo palkon tak chale aae wo afsane kahan jate
tumhaare nam se mansub ho jate hain diwane
ye apne hosh mein hote to pahchane kahan jate
agar koi harim-e-naz ke parde uTha deta
to phir kaba kahan rahta sanam-KHane kahan jate
nahin tha mustahiq 'maKHmur' rindon ke siwa koi
na hote hum to phir labrez paimane kahan jate
Ghazal
Ye tujhse aashna duniya se begane kahan jate
Makhmoor Dehlvi