اردو हिंदी
Ye to sahra hai yahan ThanDi hawa kab aaegi | Shaahi Shayari
ye to sahra hai yahan ThanDi hawa kab aaegi

Ghazal

Ye to sahra hai yahan ThanDi hawa kab aaegi

Irfan Siddiqi

;

ye to sahra hai yahan ThanDi hawa kab aaegi
yar, tum ko sans lene ki ada kab aaegi

kuch karna chahte hain phir meri basti ke log
phir teri aawaz ai koh-e-nida kab aaegi

nasl-e-taza, main tujhe kya tajrabe apne bataun
tere baDhte jism par meri qaba kab aaegi

sar-barahna bibiyon ke baal chandi ho gae
KHeme phir istada kab honge rida kab aaegi

taq mein kab tak jalega ye charagh-e-intizar
is taraf shab-e-gasht logon ki sada kab aaegi

meri miTTi mein bhi kuchh paude numu-amada hain
tu mere aangan tak ai kali ghaTa kab aaegi