ye to malum ki phir aaiyega
baiThiye aaj kahan jaiyega
marqad-e-kushta pe jab aaiyega
dil mein kuchh soch ke pachhtaiyega
hum to samjhe the ki jald aaiyega
KHair ab puchh ke ghar jaiyega
ghair ko bose dahan ke kaise
kuchh mera munh to na khulwaiyega
mere kahne mein nahin hai dil-e-zar
aap hi kuchh use samjhaiyega
ab to chuse lab-e-shirin hum ne
lo hamein ghol ke pi jaiyega
daulat-e-wasl hai qimat dil ki
aage kuchh aap bhi farmaiyega
jama KHatir rahiye ai ahl-e-qubur
hum bhi aate hain na ghabraiyega
wasf likhte hain lab-e-shirin ke
kuchh miThai hamein khilwaiyega
naza mein pas mere kyun baiThe
uThiye uThiye nahin ghabraiyega
sadma-e-hijr mein taklif karen
malak-ul-maut se farmaiyega
aap par marne se hasil kya hai
fatiha bhi to na diwaiyega
shaiKH-ji but ki burai kije
apne allah se bharpaiyega
kabe mein saKHt-kalami sun li
but-kade mein na kabhi aaiyega
bose lillah 'saKHi' mangta hai
ek dijega to das paiyega
Ghazal
Ye to malum ki phir aaiyega
Sakhi Lakhnvi