ye teri zulf ka kunDal to mujhe mar chala
jis pe qanun bhi lagu ho wo hathiyar chala
peT hi phul gaya itne KHamire kha kar
teri hikmat na chali aur tera bimar chala
biwiyan chaar hain aur phir bhi hasinon se shaghaf
bhai tu baiTh ke aaram se ghar-bar chala
ujrat-e-ishq nahin deta na de bhaD mein ja
le tere dam se ab tera giraftar chala
sansani-KHez use aur koi shai na mili
meri taswir se wo sham ka aKHbar chala
ye bhi achchha hai ki sahra mein banaya hai makan
ab kirae pe yahan saya-e-diwar chala
ek adakar ruka hai to hua utna hujum!!
muD ke dekha na kisi ne jo qalamkar chala
chheD mahbub se le Dubegi kashti 'jaidi'
aankh se dekh use hath se patwar chala
Ghazal
Ye teri zulf ka kunDal to mujhe mar chala
Athar Shah Khan Jaidi