ye teri KHalq-nawazi ka taqaza bhi nahin
kahin dariya hai rawan aur kahin qatra bhi nahin
apne aaqaon ke aibon ko mahasin samjhe
itni paband-e-aqidat to reaya bhi nahin
iKHtiyaraat se haq tak hain zabani baaten
dastaKHat kya kisi kaghaz pe anguTha bhi nahin
koi imkan nahin hai kisi KHush-fahmi ka
chaara-gar tum ho to phir zaKHm ko bharna bhi nahin
ishtihaaraat lage hain meri KHush-haali ke
aur thaali mein meri KHushk niwala bhi nahin
ye ujala koi sazish hai ye jugnu hai fareb
subh se pahle charaghon ko bujhana bhi nahin
Ghazal
Ye teri KHalq-nawazi ka taqaza bhi nahin
Shakeel Jamali

