ye teri chah bhi kya teri aarzu bhi kya
hamare jism mein ye dauDta lahu bhi kya
hai jis ke dhyan mein har lamha KHwab ka aalam
mile kahin to karen us se guftugu bhi kya
tere KHayal ki KHushbu tere jamal ka rang
hamare dasht mein lekin ye rang-o-bu bhi kya
ye tapti ret ye pyasi zamin yahan logo
kisi ke pyar se mahki hui numu bhi kya
hazar koh-o-bayaban kiye hain tai lekin
hue hum aabla-payan lahu lahu bhi kya
kisi ki yaad mein kaT jae zindagi sari
ek aarzu to hai lekin ye aarzu bhi kya
Ghazal
Ye teri chah bhi kya teri aarzu bhi kya
Ahmad Hamdani