ye tasalli hai ki hain nashad sab
main akela hi nahin barbaad sab
sab ki KHatir hain yahan sab ajnabi
aur kahne ko hain ghar aabaad sab
bhul ke sab ranjishen sab ek hain
main bataun sab ko hoga yaad sab
sab ko dawa-e-wafa sab ko yaqin
is adakari mein hain ustad sab
shahr ke hakim ka ye farman hai
qaid mein kahlaenge aazad sab
chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho
us ko kab fursat sune fariyaad sab
talKHiyan kaise na hun ashaar mein
hum pe jo guzri hamein hai yaad sab
Ghazal
Ye tasalli hai ki hain nashad sab
Javed Akhtar