ye tamanna hai ki ab aur tamanna na karen
sher kahte rahen chup chap taqaza na karen
in badalte hue haalat mein behtar hai yahi
aaina dekhen to KHud apne ko DhunDa na karen
tu gurezan rahi ai zindagi hum se lekin
kaise mumkin hai ki hum bhi tujhe chaha na karen
is nae daur ke logon se ye kah de koi
dil ke dukhDon ka sar-e-am tamasha na karen

Ghazal
Ye tamanna hai ki ab aur tamanna na karen
Salman Akhtar