ye tamam ghuncha-o-gul main hansun to muskuraen
kabhi yak-ba-yak jo ro dun to sitare TuT jaen
mere dagh-e-dil ki tabish jo kabhi ye dekh paen
wahin rashk-e-be-aman se mah-o-mehr Dub jaen
kabhi zauq-e-justuju par agar eatibar kar lun
sar-e-rah manzilen KHud mujhe DhunDne ko aaen
kabhi be-qarar ho kar jo main saz-e-ishq chheDun
to ye mushtari-o-zohra koi git phir na gaen
mera zauq mai-parasti hai kuchh is qadar mukammal
jo main jam-e-mai uTha lun to baras paDen ghaTaen
sar-e-mai-kada jo dekhen meri mai-kashi ka manzar
hon shuyuKH sar-ba-sajda kare zahid iltijaen
Ghazal
Ye tamam ghuncha-o-gul main hansun to muskuraen
Shakeel Badayuni