ye takalluf ye mudaraat samajh mein aae
ho judai to mulaqat samajh mein aae
ruh ki pyas phuwaron se kahin bujhti hai
TuT ke barse to barsat samajh mein aae
jagte lab mere aur us ki jhapakti aankhen
nind aae to kahan baat samajh mein aae
li thi mauhum tahaffuz ke gharaunde mein panah
ret jab bikhri to haalat samajh mein aae
ungliyan jism ke sab aib-o-hunar jaanti hain
lams jage to ek ek baat samajh mein aae
saikDon hath mere qatl mein Thahre hain sharik
ek do hon to koi baat samajh mein aae
kabhi utra hi nahin us ke takalluf ka libas
ho barahna to mulaqat samajh mein aae
koi aasan nahin jal jal ke sahar kar lena
shama ban jao to phir raat samajh mein aae
tum kisi ret ke Tile pe khaDe ho 'ibrat'
uTThe tufan to phir auqat samajh mein aae
Ghazal
Ye takalluf ye mudaraat samajh mein aae
Ibrat Machlishahri