اردو हिंदी
Ye tabiat hai to KHud aazar ban jaenge hum | Shaahi Shayari
ye tabiat hai to KHud aazar ban jaenge hum

Ghazal

Ye tabiat hai to KHud aazar ban jaenge hum

Ahmad Faraz

;

ye tabiat hai to KHud aazar ban jaenge hum
chaaragar roenge aur gham-KHwar ban jaenge hum

hum sar-e-chaak-e-wafa hain aur tera dast-e-hunar
jo bana dega hamein ai yar ban jaenge hum

kya KHabar thi ai nigar-e-sher tere ishq mein
dilbaran-e-shahr ke dildar ban jaenge hum

saKHt-jaan hain par hamari ustuwari par na ja
aise TuTenge tera iqrar ban jaenge hum

aur kuchh din baiThne do ku-e-jaanan mein hamein
rafta rafta saya-e-diwar ban jaenge hum

is qadar aasan na hogi har kisi se dosti
aashnai mein tera mear ban jaenge hum

'mir' o 'ghaalib' kya ki ban pae nahin 'faiz' o 'firaq'
zoam ye tha 'rumi' o 'attar' ban jaenge hum