ye taeron ne jo ek dusre ke nam liye
zarur dasht mein aaya hai koi dam liye
na ho mizaj mein aisi bhi dur-andeshi
ki subh se koi nikle charagh-e-sham liye
koi ishaara na ho koi istiara na ho
tum us ka tazkira karna baghair nam liye
dayar-e-zat mein ehsas ki qalam-rau mein
faqir milte hain shahon ka ehtisham liye
sameT le na kahin phir zamin se chadar-e-ab
chala hai phir wo samundar ki samt jam liye
rahin-e-chashm thi KHwabon ki rah-guzar phir bhi
na chal saka koi be-tohmat-e-qayam liye
yahi kaha ki hain raazon se ba-KHabar kuchh log
pate batae na us ne zaban se nam liye
darun-e-zat koi ghair aa nahin sakta
khaDi hai dar pe ana tegh-e-be-niyam liye
Ghazal
Ye taeron ne jo ek dusre ke nam liye
Noor Mohammad Yaas