ye surmai aafaq ye shamon ke dhundalke
aa jao bhi yaadon ke jharokon se nikal ke
diwane chale aate hain sahra se nikal ke
rakh den na kahin nazm-e-gulistan hi badal ke
phulon ki tarah un ki hifazat hai zaruri
ye aaj ke bachche hi baDe hote hain kal ke
hai jab to tahammul ki koi aah na nikle
ek ashk ka qatra meri palkon se na Dhalke
do roTiyan izzat se jo mil jaen to bas hai
darwaze pe le jae na waqt ahl-e-duwal ke
jaen to kahan jaen tere chahne wale
haalat ke tapte hue sahra se nikal ke
hum dast-daraazi ke to qail nahin saqi
hisse mein hamare bhi agar mai ho to chhalke
fankar ki munh bolti taswir hai fan bhi
tum kya ho bata dete hain ashaar ghazal ke
kafi hai hamare liye miTTi ke gharaunde
hum KHak-basar ahl nahin 'taj' mahal ke

Ghazal
Ye surmai aafaq ye shamon ke dhundalke
Riyasat Ali Taj