اردو हिंदी
Ye sumbul-o-nasrin mere hain ye sehn-e-gulistan mera hai | Shaahi Shayari
ye sumbul-o-nasrin mere hain ye sehn-e-gulistan mera hai

Ghazal

Ye sumbul-o-nasrin mere hain ye sehn-e-gulistan mera hai

Parvez Shahidi

;

ye sumbul-o-nasrin mere hain ye sehn-e-gulistan mera hai
main azm-e-numu-e-gulshan hun inam-e-bahaaran mera hai

main farq bataun kis kis ko ehsas ki jab taufiq nahin
kaif-e-gham-e-dauran mera hai lutf-e-gham-e-jaanan mera hai

ai mausam-e-gul tashwish na kar arbab-e-KHirad ki baaton par
ye panja-e-wahshat mere hain har tar-e-gareban mera hai

ahbab tabahi par meri maghmum na hon matam na karen
ye gardish-e-dauran meri hai wo fitna-e-dauran mera hai

ai naseh-e-mushfiq! rahne de ashkon pe mere tanqid na kar
ye dida-e-giryan mere hain wo gosha-e-daman mera hai

tariKH-e-chaman likhne ke liye kyun hath baDhe hain gulchin ke
aaghaz-e-gulistan mera tha anjam-e-gulistan mera hai

shikwon ki zafar-yabi pe mujhe ahbab mubarakbaad na den
wo nichi nigahen meri hain wo husn-e-pashiman mera hai