ye socha hi nahin tha tishnagi mein
kahan rakkhungi lab main bebasi mein
tumhaari samt aane ki talab mein
main rukti hi nahin hun be-KHudi mein
dil-e-KHush-fahm tujh se kitne honge
nisar us ki tamanna ki gali mein
nahin wo itna bhi pagal nahin tha
jo mar jata meri wabastagi mein
mujhe ab 'asima' chalna paDega
KHud apne aap hi ki rahbari mein
Ghazal
Ye socha hi nahin tha tishnagi mein
Asima Tahir