ye soch kar na phir kabhi tujh ko pukara dost
dushman ka dost ho nahin sakta hamara dost
hum ne kabhi rakha hi nahin hai hisab-e-ishq
tu hi hamara nafa hai tu hi KHasara dost
aankhon ka ek hujum laga hai magar ye dil
bhula na aaj tak tera pahla ishaara dost
sab ko hai apni apni gharaz se gharaz yahan
koi hamara dost na koi tumhaara dost
jo kuchh azal se hota raha hai wahi hua
hum ko bhi doston ki adawat ne mara dost
chahe tu e'tiraf kare ya nahin kare
'ruhi' baghair hai nahin tera guzara dost
Ghazal
Ye soch kar na phir kabhi tujhko pukara dost
Rehana Roohi