ye soch kar main ruka tha ki tu pukarega
kise KHabar thi khanDar chaar-su pukarega
kabhi to shaKH-e-talluq mein phul aaenge
kabhi to sard badan ko lahu pukarega
main ek pal ke liye bhi agar hua ojhal
mera junun mujhe ku-ba-ku pukarega
zamin us ke liye tang hoti jaegi
KHuda-e-ishq ko jo be-wuzu pukarega
kisi tarah bhi ishaaron se mutmain na hua
shuur-e-zat tujhe ru-ba-ru pukarega
Ghazal
Ye soch kar main ruka tha ki tu pukarega
Rashid Anwar Rashid

