ye soch kar ki teri jabin par na bal paDe
bas dur hi se dekh liya aur chal paDe
dil mein phir ek kasak si uThi muddaton ke baad
ek umr ke ruke hue aansu nikal paDe
sine mein be-qarar hain murda mohabbaten
mumkin hai ye charagh kabhi KHud hi jal paDe
ai dil tujhe badalti hui rut se kya mila
paudon mein phul aur daraKHton mein phal paDe
ab kis ke intizar mein jagen tamam shab
wo sath ho to nind mein kaise KHalal paDe
suraj si us ki taba hai shoala sa us ka rang
chhu jae us badan ko to pani ubal paDe
'shahzad' dil ko zabt ka yara nahin raha
nikla jo mahtab samundar uchhal paDe
Ghazal
Ye soch kar ki teri jabin par na bal paDe
Shahzad Ahmad