ye soch banna hai kya tujh ko kya bana hua hai
KHuda ka kya hai ki wo to KHuda bana hua hai
daba saka na sada us ki teri bazm ka shor
KHamosh rah ke bhi koi sada bana hua hai
main chahta hun masiha ke dil mein bhi rakh dun
wo dard mere liye jo dawa bana hua hai
ye kar-e-ishq hai rakh apne inhimak se kaam
na dekh bigDa hua kya hai kya bana hua hai
basi hui hai mere ishq se teri KHalwat
tera jamal mera aaina bana hua hai
tumhaari bazm mein hairat se hai koi taswir
koi adab se hai sakit diya bana hua hai
jo chahiye hai hamein wo hamein mayassar hai
qadam uThe hue hain rasta bana hua hai
Ghazal
Ye soch banna hai kya tujhko kya bana hua hai
Meer Ahmad Naved