اردو हिंदी
Ye sitam aur ki hum phul kahen Khaaron ko | Shaahi Shayari
ye sitam aur ki hum phul kahen Khaaron ko

Ghazal

Ye sitam aur ki hum phul kahen Khaaron ko

Nasir Kazmi

;

ye sitam aur ki hum phul kahen KHaron ko
is se to aag hi lag jae saman-zaron ko

hai abas fikr-e-talafi tujhe ai jaan-e-wafa
dhun hai ab aur hi kuchh tere talab-garon ko

tan-e-tanha hi guzari hain andheri raaten
hum ne ghabra ke pukara na kabhi taron ko

na-gahan phuT paDe raushniyon ke jharne
ek jhonka hi uDa le gaya andhiyaron ko

sare is daur ki munh bolti taswiren hain
koi dekhe mere diwan ke kirdaron ko

nala-e-aKHir-e-shab kis ko sunaun 'nasir'
nind pyari hai mere daur ke fankaron ko