ye sitare mujhe diwar nahin hone ke
KHwab se hum tere bedar nahin hone ke
main ne palkon ko bichhaya hai tere qadmon mein
raste ab tujhe dushwar nahin hone ke
chahe tu jam-e-baqa dene ka wada kar le
ai masiha tere bimar nahin hone ke
dard-e-kaunain se labrez hon jin ke daman
wo mere gham ke KHaridar nahin hone ke
ek hi inT pe hum ne jo kiya hai takiya
hum kabhi sahab-e-diwar nahin hone ke
chae ki pyali mein tufan uThane walo
ye tamashe sar-e-bazar nahin hone ke
jap kar le tu mohabbat ke hazaron lekin
tere dushman tere dildar nahin hone ke
jin ke sinon mein gaDi kufr ki meKHen hun 'sahar'
wo kabhi din ke wafadar nahin hone ke
Ghazal
Ye sitare mujhe diwar nahin hone ke
Shaista Sahar