ye silsila ghamon ka na jaane kahan se hai
ahl-e-zamin ko shikwa magar aasman se hai
yaadon ki rahguzar se KHwabon ke shahr tak
ek silsila zarur hai lekin kahan se hai
meri kitab-e-zist ko aise na phenkiye
raushan kisi ka nam isi dastan se hai
manzil na pai main ne magar ye to khul gaya
rishta mere safar ka kisi karwan se hai
mausam ki her-pher ne sabit ye kar diya
kuchh mere jism ka bhi talluq makan se hai
kahne ko log kya nahin kahte 'shakil' ko
sunne ka ishtiyaq tumhaari zaban se hai

Ghazal
Ye silsila ghamon ka na jaane kahan se hai
Shakeel Gwaliari