ye shohrat hai ki ruswai magar had se ziyaada hai
main KHud itna nahin saya mere qad se ziyaada hai
mere dil ki girah baaten banane se nahin khulti
ki mujh mein bastagi kuchh qufl-e-abjad se ziyaada hai
kisi ke pas harf-e-dil-nashin baqi nahin warna
qubul ab bhi dilon ki KHak mein rad se ziyaada hai
suwaida ko mere nisbat bahut hai sang-e-aswad se
magar naqsh-e-kaf-e-pa-e-mohammad se ziyaada hai
ye jaan-e-na-tawan meri ye shauq-e-be-aman mera
tawanai kaf-e-sailab mein sad se ziyaada hai
Ghazal
Ye shohrat hai ki ruswai magar had se ziyaada hai
Khursheed Rizvi