ye shauq sare yaqin-o-guman se pahle tha
main sajda-rez nawa-e-azan se pahle tha
hain kaenat ki sab wusaten usi ki gawah
jo har zamin se har aasman se pahle tha
sitam hai us se kahun jism-o-jaan pe kya guzri
ki jis ko ilm mere jism-o-jaan se pahle tha
usi ne di hai wahi ek din bujhaega pyas
jo soz-e-sina-o-ashk-e-rawan se pahle tha
usi se thi aur usi se rahegi apni talab
jo aarzu ki har ek in-o-an se pahle tha
wo sun raha hai meri be-zabaniyon ki zaban
jo harf-o-saut-o-sada-o-zaban se pahle tha
ye hamd husn-e-bayan hai mera ki ijz-e-suKHan
har ek wasf jab us ka bayan se pahle tha
Ghazal
Ye shauq sare yaqin-o-guman se pahle tha
Akbar Ali Khan Arshi Zadah