اردو हिंदी
Ye shahr shahr ki aabaadiyan fana ki taraf | Shaahi Shayari
ye shahr shahr ki aabaadiyan fana ki taraf

Ghazal

Ye shahr shahr ki aabaadiyan fana ki taraf

Mahmood Ayaz

;

ye shahr shahr ki aabaadiyan fana ki taraf
ye jiti-jagti aankhon mein wahshat-e-sahra

mohabbaton ke basere nahin makanon mein
humakte bachchon pe aaseb-e-waqt ka saya

bala-e-roz-e-jaza Tal gai saron se magar
dilon ki tah mein dhaDakti hai haibat-e-farda

hawas wo kasa-e-sail ki har nafas KHali
baham hai daulat-e-kaunain dil tahi-maya

ye mere ahd ki maKHluq ji rahi hai magar
nafas ki aamad-o-shud par madar hai is ka