اردو हिंदी
Ye shahr hai wo shahr ki jis mein hain be-wajh kaamyab chehre | Shaahi Shayari
ye shahr hai wo shahr ki jis mein hain be-wajh kaamyab chehre

Ghazal

Ye shahr hai wo shahr ki jis mein hain be-wajh kaamyab chehre

Arjumand Bano Afshan

;

ye shahr hai wo shahr ki jis mein hain be-wajh kaamyab chehre
yahan siyasat ki aandhiyon ne miTa diye mahtab chehre

fareb khana na gham uThana na un ke sae mein munh chhupana
hazar kanTe chhupae baiThe hain shoKH rangin gulab chehre

koi bhi hamdam nahin hai sachcha koi bhi sathi nahin hai muKHlis
jinhen tum apna samajh rahe ho wahi hain KHana-KHarab chehre

koi bhi aaina-ru nahin jo sadaqaton ki shabih dikhae
KHushamadon ki naqab ne sab chhupa diye be-naqab chehre

koi naya dard saunp denge koi naya zaKHm Dal denge
kiran kiran hain zahr mein Dube hain zahiran aaftab chehre

jo paDh sako to KHulus paDh lo meri nigahon ki sadgi mein
jahan mein 'afshan' se log kam hain hon jin ke sachchi kitab chehre