ye shahr hai anjaan kahan raat guzarun
hai jaan-na-pahchan kahan raat guzarun
daman mein liye phirta hun main daulat-e-gham ko
ghafil hai nigahban kahan raat guzarun
kuTiya to alag saya-e-diwar nahin hai
har rah hai viran kahan raat guzarun
is rahguzar par to shajar bhi nahin koi
aur sar pe hai tufan kahan raat guzarun
bahrupiye phirte hain har ek rahguzar par
koi nahin insan kahan raat guzarun
dar wa hai koi aur na daricha hi khula hai
har kucha hai viran kahan raat guzarun
Ghazal
Ye shahr hai anjaan kahan raat guzarun
Ishrat Kiratpuri