اردو हिंदी
Ye shahr-e-zat bahut hai agar banaya jae | Shaahi Shayari
ye shahr-e-zat bahut hai agar banaya jae

Ghazal

Ye shahr-e-zat bahut hai agar banaya jae

Irfan Siddiqi

;

ye shahr-e-zat bahut hai agar banaya jae
to kaenat ko kyun dard-e-sar banaya jae

zara si der ko ruk kar kisi jazire par
samundaron ka safar muKHtasar banaya jae

ab ek KHema lage dushmanon ki basti mein
dua-e-shab ko nishan-e-sahar banaya jae

yahi kaTe hue bazu alam kiye jaen
yahi phaTa hua sina sipar banaya jae

suna ye hai ki wo dariya utar gaya aaKHir
to aao phir usi reti pe ghar banaya jae

ajab masaf sukut o suKHan mein jari hai
kise wasila-e-arz-e-hunar banaya jae