ye shahr apni isi haw-hu se zinda hai
tumhaari aur meri guftugu se zinda hai
kuchh is qadar bhi burai nahin hai mazhab mein
jahan kalma-e-la-taqnatu se zinda hai
hum apni nafs-kushi ki taraf nahin mail
ki apna jism to bas aarzu se zinda hai
ab us ke baad bataen to kya bataen hum
tamam qissa-e-man hai ki tu se zinda hai
hum is ke baad bhi sargarm-e-zindagi hain ki dil
bas ek qatra-e-taza-lahu se zinda hai
Ghazal
Ye shahr apni isi haw-hu se zinda hai
Taleef Haidar