ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata
main aaKHiri charagh hun suraj ke shahr ka
bazm-e-sukut-e-dil mein hai halchal machi hui
sarangiyan hain kis ke badan ki ghazal-sara
meri bayaz-e-dard wo paDh kar bahut hanse
tha nam jin ka pahle waraq par likha hua
dekha ajib KHwab amawas ki raat ne
hum chal rahe the chand pe donon barhana-pa
shoalon ke hath the ki ThiThurte chale gae
phir barf ka libas kisi ne pahan liya
sone ki tashtari mein saja kar na phul bhej
ye khel mujh gharib se dekha na jaega
KHushbu ke KHwab mein na Dhali zindagi magar
chandan ki lakDiyon se jalana meri chita
kaghaz ki naw aag ke dariya mein Dal di
kya jaane aur chahti kya hai teri ana
ai dost is qadar bhi akela koi na ho
main KHud bhi apne sath nahin dusra to kya
ai 'prem' yun to dhum thi sare jahan mein
apne hi ghar mein koi hamein puchhta na tha
Ghazal
Ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata
Prem Warbartani

