ye shaKH-e-hunar apni jo gul-e-rez rahi hai
majruh tah-e-KHanjar-e-changez rahi hai
dam lo ki zara qafila-e-waqt bhi aa le
yan gardish-e-paimana baDi tez rahi hai
insanon ke dukh-sukh mein barabar rahi shamil
ye taba jo zahir mein kam-amez rahi hai
us ghamza-e-pinhan ki halawat bhi ata ho!
jis bin mai-e-ishrat bhi gham-angez rahi hai
sad marka-e-nur-o-ziya dil ko hai darpesh
ye meri KHudi kitni KHud-awez rahi hai
har subh tan-e-zar ko kuchla hua paya
bas ruh-e-tapish-dida sahar-KHez rahi hai
pite rahe hum us ko tere husn ki KHatir
saqi! ye teri mai ki sam-amez rahi hai
wan ghunche khile aur yahan zaKHm rise hain
har mauj-e-saba KHanjar-e-KHun-rez rahi hai

Ghazal
Ye shaKH-e-hunar apni jo gul-e-rez rahi hai
Naim Siddiqi