اردو हिंदी
Ye sarabon ki shararat bhi na ho to kya ho | Shaahi Shayari
ye sarabon ki shararat bhi na ho to kya ho

Ghazal

Ye sarabon ki shararat bhi na ho to kya ho

Sajjad Baluch

;

ye sarabon ki shararat bhi na ho to kya ho
aankh mein hairat o wahshat bhi na ho to kya ho

hum ki us hijr ke sahra mein paDe hain kab se
KHema-e-KHwab-e-rafaqat bhi na ho to kya ho

shukr kar hujra-e-tanhai mein baiThe hue shaKHs
KHud se milne ki ye mohlat bhi na ho to kya ho

main wo mahrum-e-zamana ki kabhi sochta hun
sans lene ki suhulat bhi na ho to kya ho

sochta hun main sar-e-dasht uData hua dhul
teri yaadon ki inayat bhi na ho to kya ho