ye sannaTa bahut mahnga paDega
ise bhi phuT kar rona paDega
wahi do-chaar chehre ajnabi se
unhin ko phir se dohrana paDega
koi ghar se nikalta hi nahin hai
hawa ko thak ke so jaana paDega
yahan suraj bhi kala paD gaya hai
kahin se din bhi mangwana paDega
wo achchhe the jo pahle mar gae hain
hamein ab aur pachhtana paDega
Ghazal
Ye sannaTa bahut mahnga paDega
Fazl Tabish