اردو हिंदी
Ye sanam bhi ghaTor kitne hain | Shaahi Shayari
ye sanam bhi ghaTor kitne hain

Ghazal

Ye sanam bhi ghaTor kitne hain

Shad Lakhnavi

;

ye sanam bhi ghaTor kitne hain
but bane sun rahe hain jitne hain

subh-e-piri hai ghafilan-e-jahan
KHwab-e-KHargosh mein hain jitne hain

mauj-dar-mauj hai tabahi mein
dam-ba-KHud hain habab jitne hain

bu-e-gul ho ki nikhat-e-gul ho
KHana-barbaad hain ye jitne hain

turfa qatil hai jis ke morid-e-malKH
be-chhuri hain halal jitne hain

KHush-nawa ye hai nala-e-bulbul
hama-tan-gosh gul hain jitne hain

ai sanam tu wo hai nai-o-naqus
dam tera bhar rahe hain jitne hain

har rawish-e-bagh-e-dahr mein gul-e-tar
dida-e-mutazir hain jitne hain

ek main kya hun mahw-e-surat-e-saf
hairati aaine hain jitne hain

kul ghazal ek qafiya ai 'shad'
sher mayub hain ye jitne hain