ye saman ye lutf ye dil-chasp manzar dekh kar
ho gae be-ghar hazaron aap ka ghar dekh kar
is taraf dil dekh kar aur us taraf sar dekh kar
panw rakhna chahiye tum ko zamin par dekh kar
chain kyun aane laga jalwon ko dam bhar dekh kar
pahle dekhunga unhen phir hunga muztar dekh kar
kah gaya wo mere ujDe ghar ka manzar dekh kar
KHak patthar shad hun main KHak patthar dekh kar
allah allah is qadar tasir-e-sauda-e-bahaar
dil ki ek ek rag phaDak uThti hai nashtar dekh kar
har ghaDi mujh ko rahi surat parasti hi ki dhun
main hua betab aksar sun kar aksar dekh kar
hasrat-e-nazzara mahshar mein hamein lai to hai
kya hamara haal hoga un ko din bhar dekh kar
qatl ki ab kya zarurat hum to yun hi mar gae
un ke nazuk hath mein chhoTa sa KHanjar dekh kar
jo dua dete the jine ki mujhe wo dost bhi
uTh gae baalin se mera haal abtar dekh kar
qasd tha ho kar palaT aaenge ab Talte nahin
panw phailane lage hum ku-e-dilbar dekh kar
dil unhen denge magar hum denge in sharton ke sath
aazma kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
ek mimbar tha wahan do-chaar the zarf-e-wazu
ho gai hairat hamein allah ka ghar dekh kar
wo samajhte hain ye koi talib-e-didar hai
saya-e-qamat ko bhi raste mein aksar dekh kar
dasht se barson mein lai thi hamein hubb-e-watan
aur wahshat baDh gai ujDa hua ghar dekh kar
shash-jihat ke gham se mai-KHwaron ko chhuTkara mila
KHum subu shisha surahi jam saghar dekh kar
dawar-e-mahshar ko itni jaanch ki fursat kahan
phenk dega wo mere isyan ka daftar dekh kar
but-parasti tak pahunchti hai kahan naseh ye baat
KHush hua karta hun main KHush-rang patthar dekh kar
gham mujhe kya ho ki tanha mubtala-e-gham nahin
mutmain hai dil mera duniya ko muztar dekh kar
mere dil mein aae wo apne harim-e-naz se
tisra ghar ab na dekhen dusra ghar dekh kar
'nuh' is tufan par kya abr ko tarjih dun
pani pani hai wo josh dida-e-tar dekh kar
Ghazal
Ye saman ye lutf ye dil-chasp manzar dekh kar
Nooh Narvi

