ye sahra mera hai jhelam chanab us ki taraf
turab meri taraf aur aab us ki taraf
na jaane kis ne banai hai doghli taswir
hain KHar meri taraf aur gulab us ki taraf
zaban meri hai alfaz hain mere lekin
hai baat-chit ka lab-o-labab us ki taraf
meri ghazal ke muqaddar mein pyas aai hai
kashid ki hui umda sharab us ki taraf
koi muamma kabhi is tarah bhi ho maula
sawal meri taraf hun jawab us ki taraf
yun apna nama-e-amal kar liya taqsim
gunah meri taraf hain sawab us ki taraf
zarur puchhunga taqsim karne wale se
rakha hai kis liye sara shabab us ki taraf
kisi ne nam se mere uchhaala jab patthar
ubharne lag gaya ek inqalab us ki taraf
jo KHud se puchha ki 'fani' main jaun kis raste
ishaara karne lagi hai rikab us ki taraf
Ghazal
Ye sahra mera hai jhelam chanab uski taraf
Fani Jodhpuri