ye sahn-o-rawish ye shams-o-qamar ye dasht-o-bayaban kuchh bhi nahin
juz apni had-e-parwaz nazar ai dida-e-hairan kuchh bhi nahin
hai mujh se wujud-e-hast-o-adam yun hast-o-adam hain la yani
ye zist ka saman kuchh bhi nahin ye umr-e-gurezan kuchh bhi nahin
ai dast-e-junun hai aar tujhe kyun meri qaba-e-hasti se
main chaak-e-jigar ka qail hun ye chaak-e-gareban kuchh bhi nahin
shamil hai sarisht-e-insan mein tul-e-shab-e-gham ka unsur bhi
ye sham-e-firaq-e-gham-agin subh-e-shab-e-hijran kuchh bhi nahin
kina hai tujhe kis daulat se is daman-e-hasti mein kya hai
juz wada-e-rabb-e-kaun-o-makan ai gardish-e-dauran kuchh bhi nahin
ek rah pe mujh ko chhoD diya manzil ka pata kuchh bhi na diya
is bab ki main tamhid bana jis bab ka unwan kuchh bhi nahin
qassam-e-azal ne to baKHshi aadam ko mata-e-izz-o-sharf
ai gardish-e-dauran ye to bata kya azmat-e-insan kuchh bhi nahin
fitrat hai meri kuchh is darja manus-e-haqiqat ai gulchin
taqrib-e-bahaaran kuchh bhi nahin taKHrib-e-gulistan kuchh bhi nahin
sahba-e-giranmaya hai ata maddah-e-mai-KHuddari hun
ai jam-o-subu ke shaidai ye KHwahish-e-arzan kuchh bhi nahin
kya sharh-e-nigah-e-dost karun dekha hi nahin kuchh is ke siwa
hota hai inayat dard bahut aur dard ka darman kuchh bhi nahin
wo kashti-e-dil hi Dub chuki jo zist ka hasil thi 'farhat'
ab rahat-e-sahil kuchh bhi nahin ab shorish-e-tufan kuchh bhi nahin

Ghazal
Ye sahn-o-rawish ye shams-o-qamar ye dasht-o-bayaban kuchh bhi nahin
Prem Shankar Goila Farhat