ye sahal hi sahi sikke uchhaal kar rakhna
magar ye dil hai use bhi sambhaal kar rakhna
nazar se lakh hon ojhal suragh manzil ke
junun ka kaam hai sahra khangal kar rakhna
hai inqalab ke shoalon ki garmiyan is mein
mata-e-lauh-o-qalam ko sambhaal kar rakhna
naya KHayal nai raushni nai rahen
safar naya hai qadam dekh-bhaal kar rakhna
janab-e-'nur' ghazal ka yahi taqaza hai
nae KHayal ko qalib mein Dhaal kar rakhna
Ghazal
Ye sahal hi sahi sikke uchhaal kar rakhna
Noor muneeri