ye sach hai yahan shor ziyaada nahin hota
ghar-bar ke bazar main par kya nahin hota
jabr-e-dil-e-be-mehr ka charcha nahin hota
tariki-e-shab mein koi chehra nahin hota
har jazba-e-masum ki lag jati hai boli
kahne ko KHaridar paraya nahin hota
aurat ke KHuda do hain haqiqi o majazi
par us ke liye koi bhi achchha nahin hota
shab-bhar ka tera jagna achchha nahin 'zehra'
phir din ka koi kaam bhi pura nahin hota
Ghazal
Ye sach hai yahan shor ziyaada nahin hota
Zehra Nigaah