ye sab kahne ki baaten hain hum un ko chhoD baiThe hain
jab aankhen chaar hoti hain murawwat aa hi jati hai
wo apni shoKHiyon se koi ab tak baz aate hain
hamesha kuchh na kuchh dil mein shararat aa hi jati hai
na uljho tana-e-dushman pe aisa ho hi jata hai
jahan iKHlas hota hai shikayat aa hi jati hai
liya jab nam ulfat ka badal jati hai sirat bhi
nigah-e-sharm-agin mein shararat aa hi jati hai
kabhi chitwan se an-ban hai kabhi sauda hai gesu ka
nasibon ki ye shamat hai ki shamat aa hi jati hai
hamesha ahd hote hain nahin milne ke ab un se
wo jab aa kar lipaTte hain mohabbat aa hi jati hai
kahin aaram se do din falak rahne nahin deta
hamesha ek na ek sar par musibat aa hi jati hai
hisab-e-dostan dar-e-dil taqaza hai mohabbat ka
masal mashhur hai ulfat se ulfat aa hi jati hai
Ghazal
Ye sab kahne ki baaten hain hum un ko chhoD baiThe hain
Zaheer Dehlvi