ye sare KHubsurat jism abhi mar jaane wale hain
magar hum ishq wale bhi kahan baz aane wale hain
haqiqat ka hamein kya ilm sachchai se kya matlab
hamare jitne bhi mashuq hain afsane wale hain
hamein masjid se kya jhagDa magar bas ek mushkil hai
ki us ki or ke sab raste mai-KHane wale hain
nafi ki salsi darkar hai jo faisla kar de
ki hum allah-miyan wale hain ya but-KHane wale hain
chalo gumrahiyon ki rui bhar lo apne kanon mein
suna hai shaiKH-sahab aaj kuchh farmane wale hain
tum apne jism ka aatish-kada kholo ki hum sufi
usi ki aag le kar ruh ko garmane wale hain
agarche 'farhat-ehsas' apna majnun shahr wala hai
par us ke ishq ke andaz sab virane wale hain
Ghazal
Ye sare KHubsurat jism abhi mar jaane wale hain
Farhat Ehsas