ye saneha tha mulaqat aur baqi hai
Thahar bhi jao ki kuchh raat aur baqi hai
fasana-e-shab-e-hasti to kah chuke lekin
ye ranj hai ki koi baat aur baqi hai
isi umid mein lau de rahi hai sham-e-hayat
sulag bhi jae to barsat aur baqi hai
fana ke nam pe labbaik kah chuke warna
wajud-e-kashmakash-e-zat aur baqi hai
tu mujh ko bhul bhi ja ye magar KHayal rahe
ki kuchh dinon to tera sat aur baqi hai

Ghazal
Ye saneha tha mulaqat aur baqi hai
Meer Naqi Ali Khan Saqib