ye saneha bhi ho gaya hai raste mein
jo rahnuma tha wahi kho gaya hai raste mein
kisi bhi aabla-pa ko na mil saki taskin
ajib KHar koi bo gaya hai raste mein
itab-e-jaan hui gard-e-safar kisi ke liye
kisi ko abr-e-karam dho gaya hai raste mein
hudi ki lai karo maddham ai qafile walo
thakan se chur koi so gaya hai raste mein
musafiran-e-wafa ki koi KHabar na mili
na jaane kaun kidhar ko gaya hai raste mein
rahega sath kahan tak ye dekhna hai mujhe
wo ham-suKHan to mera ho gaya hai raste mein
Ghazal
Ye saneha bhi ho gaya hai raste mein
Abdul Wahab Sukhan