اردو हिंदी
Ye ruKH-e-yar nahin zulf-e-pareshan ke tale | Shaahi Shayari
ye ruKH-e-yar nahin zulf-e-pareshan ke tale

Ghazal

Ye ruKH-e-yar nahin zulf-e-pareshan ke tale

Baqaullah u0027Baqau0027

;

ye ruKH-e-yar nahin zulf-e-pareshan ke tale
hai nihan subh-e-watan sham-e-ghariban ke tale

kya karen sina jo naseh se chhupate na phiren
dagh se dagh hain kuchh apne gareban ke tale

aah ki barq jo sine mein chamakti dekhi
tifl-e-ashk aa hi chhupe daman-e-mizhgan ke tale

dil mein aata hai karun ai gul-e-KHandan tujh bin
baiTh kar girya kisi naKHl-e-gulistan ke tale

yun nihan dagh-e-jigar aah se rakhta hun ki jun
baad se shama chhupawe koi daman ke tale

shaiKH Darta hun kahin baiTh na jawe ye kuan
mat khaDa ho tu asa rakh ke zanaKHdan ke tale

nahin milne ki 'baqa' hum ko ba-juz kunj-e-mazar
ja-e-asudgi is gumbad-e-gardan ke tale