ye ruashni-e-taba dikhane ki aarzu
achchhi nahin bala ko bulane ki aarzu
jo gham mile gale se lagane ki aarzu
rasm-o-rah-e-hayat nibhane ki aarzu
ye bhi bhala hai koi Thikane ki aarzu
har naqsh-e-arzu ko miTane ki aarzu
sahra ki saKHt dhup mein jalte hue badan
bar-e-gham-e-hayat uThane ki aarzu
har zawiye se husn-e-badan dekhne ka shauq
rakhte hain log aaina-KHane ki aarzu
ye KHwahishen ye jehd-e-musalsal ye dauD-dhup
naqsh-o-nigar-e-zist banane ki aarzu
apni shanaKHt ye hai ki ghar hai na dar magar
diwar-o-dar pe nam likhane ki aarzu
ye qurbaton ki raat ye jalte hue badan
niklegi aaj ek zamane ki aarzu
badnam ho chuka hai ye fann-e-shareef bhi
kahne ka shauq hai na sunane ki aarzu
apni mata-e-gham ko liye hum bhi lauT aae
har shaKHs ko thi apni sunane ki aarzu
jis haal mein hain sabir-o-shakir hain 'taj' hum
khone ka koi gham hai na pane ki aarzu

Ghazal
Ye ruashni-e-taba dikhane ki aarzu
Riyasat Ali Taj