اردو हिंदी
Ye roz-o-shab ki masafat ye aana jaana mera | Shaahi Shayari
ye roz-o-shab ki masafat ye aana jaana mera

Ghazal

Ye roz-o-shab ki masafat ye aana jaana mera

Tariq Qamar

;

ye roz-o-shab ki masafat ye aana jaana mera
bahut se shahron mein bikhra hai aab-o-dana mera

nahin pasand mere tang-zehn qatil ko
ye harf-e-shukr ye KHanjar pe muskurana mera

ajib radd-e-amal tha wo raushni ke KHilaf
jala jala ke charaghon ko KHud bujhana mera

ye chand log mere aas-pas baiThe hue
yahi kamai hai meri yahi KHazana mera

kahan utarun janaze ko zindagi tere
ki is ke bojh se shal ho chuka hai shana mera

zara si baat pe ghar chhoD kar chale aana
phir is ke baad kabhi lauT kar na jaana mera

ye baat to meri zanjir-e-pa bhi jaanti hai
baDe sharif gharanon mein tha gharana mera

mizaj apna mila hi nahin zamane se
na main hua kabhi is ka na ye zamana mera

amir-e-shahr ko bhi qatl kar gaya 'tariq'
faraaz-e-dar pe aa ke ye muskurana mera