ye roz o shab ka tasalsul rawan-dawan hi raha
ye gham-rasidon ki taqdir mein ziyan hi raha
teri zaban thi mere waste pa dil kahin aur
teri rawish ka ye andaz darmiyan hi raha
uThae phirte rahe hum ye dard ki gaThri
magar ye dard-e-mohabbat ki be-aman hi raha
jab aai raat umanD aae yaad ke jugnu
phir us ke baad to ek jashn ka saman hi raha
bahut dinon mein ye taKHliq ki phuwar paDi
main KHauf-e-jahl-e-murakkab se be-zaban hi raha
mere lahu mein bhi utren kabhi nae mausam
ye aarzu rahi meri mera guman hi raha
kuchh aaise daur bhi taham giraft mein aae
ki ye zamin rahi baqi na aasaman hi raha
Ghazal
Ye roz o shab ka tasalsul rawan-dawan hi raha
Siddiq Shahid